Wo Kuch Esi Hogi _ Hndi Poem

hindi poem
Wo Kuch Toh Esi Hogi
Han Toh Sabse Pehle Ye Btana Zaruri Hai Ki
Wo Kuch Esi Hogi Ka Matlab BilkulYe Nahi Hai
Ki Wo Har Baat Me Perfect Honi Chahiye....

Usse Bht Saari Galtiyaan Karna Aana Chahiye,
Aur Unn Galtiyo Ko Salikhe Se Sudharna Bhi.

Haa Wo Kuch Esi Hi Hogi
-----------------
Wo Ab Barish Ke Bundo Si Nahi Hogi,
Wo  Toh Iss Thand Ke Mausam Me December Si Hogi,
Kap-Kapaati Sardi Me Sunehri Dhoop Hogi
Jo Ki Har Baat Pe Mujhse Aakar Lipat Jaati Hogi.....

Parindo Si Hogi,
Parwaah Sabki Karti Hogi,
Magar Wo Apni Uddan , Izzat 
Aur Azaadi ki Keemat Acche Se jaanti Hogi...

Wo Meri Toh Hogi Hi...
Magar Sath Ke Sath Uski Bhi Apni Ek Pehchan Hogi,
Sar Utha Ke Chalti Hogi Sabke Saamne ,
Bas Mere Saamne Palke Jhuka Liya Karegi,

Khushiyon Ka Karwaan Liye Chal Rahi Hogi,
Iss Gam Ke Shehar Me Aakar Thehregi..

Galtiyon ko kabhi Galat Femi Me badalne Nahi Degi
Jitna Ho Sakega Milne Ki Koshish Karegi,
Aur Jo Na Ho Saka toh
Faaslon Me Bhi Kareebi Barkaar Rakhegi
Ishq Ke Maamle ko kabhii Mzahab Me Nahi Baategi,

Haan Wo Kuch Toh Esi Hi Hogi.
----------


Post a Comment

0 Comments